2
  • Forum > Who is proud to be an Indian?
  • Display Mode:

8/24/2006 8:47 PM Proud (2 Comments)

Friendz34

Proud

I am very proud to be an Indian and I love my contry very much. Whats about you buddy?

4/9/2009 11:47 AMRe: Who is proud to be an Indian?

aashpal
aashishVerified Zorpian 38, India
I too love my country and i think everyone(Indian) has to love our country.

I m posting Lyrics of two songs in tribute to our country by Manoj Kumar..

1] From Film Upkaar, Singer-Mahendra Kapoor, Music-Kalyanji Anandji

mere desh kee dharatee, sonaa ugale, ugale hire motee
mere desh kee dharatee

bailon ke gale mein jab ghungaru, jeewan kaa raag sunaate hai
gam kos door ho jaataa hai, khushiyon ke kanwal musakaate hai
sun ke rahat kee aawaaje, yoo lage kahee shahanaaee baje
aate hee mast bahaaron ke dulhan kee tarah har khet saje

jab chalate hain is dharatee pe hal , mamataa angadaeeyaan letee hai
kyo naa pooje is maantee ko, jo jeewan kaa sukh detee hai
is dharatee pe jis ne janam liyaa, usane hee paayaa pyaar teraa
yahaa apanaa paraayaa koee nahee, hain sab pe, maan, upakaar teraa

ye baag hain gautam naanak kaa, khilate hain aman ke fool yahaan
gaandhee, subhaash taigor, tilak ayese hain chaman ke fool yahaa
rang haraa hareesing nalawe se, rang laal hain laal bahaadoor se
rang banaa basantee bhagatasing rang aman kaa weer jawaahar se

2] From Film Purab aur Paschhim, Singer-Mahendra Kapoor, Lyrics-Indeewar, Music-Kalyanji Anandji

Jab zero diya mere Bharat ne
Bharat ne mere Bharat ne
duniya ko tab ginti aayi
taaron ki bhasha Bharat ne
duniya ko pahle sikhlaayi
Deta na dashamlav Bharat to
Yoon chand pe jaana mushkil tha
Dharti aur Chand ki doori ka
andaaza lagaana mushkil tha
Sabhyata jahan pahle aayi
Sabhyata jahan pahle aayi
pahle janmi hai jahan pe kala
Apna Bharat wo Bharat hai
jiske peeche sansaar chala
Sansaar chala aur aage badha
Yoon aage badha badhta hi gaya
Bhagwan kare ye aur badhe
Badhta hi rahe aur phoole phale
Badhta hi rahe aur phoole phale

hmm hmm ho ho
ho ho ho ho
Hai preet jahan ki reet sada

Hai preet jahan ki reet sada
Hai preet jahan ki reet sada
main geet wahan ke gaata hoon
Bharat ka rahne waala hoon
Bharat ki baat sunaata hoon
Hai preet jahan ki reet sada

ho ho ho ho
ho ho ho ho
Kale gore ka bhed nahin
har dil se hamaara naata hai
kuchh aur na aata ho hamko
hamen pyaar nibhana aata hai
Jise maan chuki saari duniya
ho Jise maan chuki saari duniya
main baat
main baat wahi dohraata hoon
Bharat ka rahne waala hoon
Bharat ki baat sunaata hoon
hai preet jahan ki reet kahan

Jeete hon kisi ne desh to kya
hamne to dilon ko jeeta hai
Jahan Ram abhi tak hai nar me
Nari me abhi tak Seeta hai
Itne paawan ho log jahan
Itne paawan ho log jahan
main nit nit
main nit nit sheesh jhukaata hoon
Bharat ka rahne waala hoon
Bharat ki baat sunaata hoon

ho ho ho ho
itni mamta nadiyon ko bhi
jahan mata kahke bulaate hain
ho ho
Itna aadar insaan to kya
patthar bhi poojee jaate hain
Uss dharti pe maine janam liya
ho Uss dharti pe maine janaaaam liya
Ye soch
Ye soch ke main itraata hoon
Bharat ka rahne waala hoon
Bharat ki baat sunaata hoon
Hai preet jahan ki reet sada
ho ho ho ho

4/9/2009 4:37 PMRe: Re: Who is proud to be an Indian?

Friendz34
ǺŞђǏŞђVerified Zorpian 36, Surat, India
Thanks a lot for this, salute to your love towards our country India.
Post Your Comment
Subject:
Comment :