GROUP INFO

Name: Your Point
Policy: Public
Members: 24
Administrator: jaweria
Country: Pakistan

Founded On:
August 15, 2007
 
 

wo pyaar zinda aaj bhi ha

Your Point > Forum

2
Updated by jaweria at 06/12/2008 20:32

53 Comments
Page 1 of 1



Display mode:

Vote Down!

wo pyaar zinda aaj bhi ha
11/3/2007 9:15 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

teri yad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi ha
dil aona dukhta kal bhi tha
aur afsurda aaj bhi ha
woh pyar jo hum tum se kerte thay
woh pyar to zinda aaj bhi ha
tum door hue majboori main
hum bichar gay iss doori main
kabhi waqt mile to chale aana
khula dil ka dervaza aaj bhi ha

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/3/2008 7:45 AM
asher, 19
Karachi
Pakistan


apnay ehsaas k sab rang utter jaanay do
meri umeed meray khawab bikher jaanay do
apnay angan k chiraghon ko jalao na abhi
meray angan mein seyah raat utter jaanay do
bari mushkil se milla hai mujhey apnay gher ka pata
raasto! Ab to na uljho mujhey gher jaanay do
jin k aanay ka bohat shor tha phaila her sooo
inhi lamhon ko chup chaap guzar jaanay do
meri barbaadi ka ilzaam naa aye tum per
meray haalat ko kuch aur bigar jaanay do
jaa raha hoon to na awaz do palatt ker mujhey
mujhey tanhaayee k darya mein utter jaanay do

Reply | Block User
Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/3/2008 12:33 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Lamhaat ye judaai ke ajeeb hote hain
Ankhon se jo hain door wo dil ke kareeb hote hain
Khushi kahan muqaddar main hai aashikon ki
Mohabbat ke to qisse hi ajeeb hote hain...

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/14/2008 12:30 PM
waqas, 23
Gujrat
Pakistan

very nice poetry jaweria

Reply | Block User
Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/14/2008 12:34 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

grazie mille :D

Reply | Block User
Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/14/2008 12:51 PM
waqas, 23
Gujrat
Pakistan

prego jaweria

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
4/9/2008 3:00 PM
waqas, 23
Gujrat
Pakistan

"""very nice"""
Dil ki chokhat pe jo ik deep jala rakha hai
tere lout ane ka amkhan saja rakha hai
saans tak bhi nahin layte hain tujhe sochte waqt
ham ne is kam ko bhi kal pe utha rakha hai
rooth jate ho tu kuch aur haseen lagte ho
ham ne ye soch ke hi tum ko khafa rakha hai
tum jisse rota hya chor gay thay ik din
ham ne is shaam ko seenay se laga rakha hai
chain layne nahin dayta ye kisi tor mujhay
teri yadon ne jo tofaan utha rakha hai
jane wale ne kaha tha ke wo lotay ga zaroor
ik issi aas pe darwaza khula rakha hai
tere jane se jo ik dhool uthi thi gam ki
ham ne is dhool ko ankhon main bassa rakha hai
mujh ko kal shaam se wo yaad bohat ane laga
dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
akhri bar jo aya tha mere naam wasi
main ne us khaat ko kalaije se laga rekha hai

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/14/2008 10:08 AM
asher, 19
Karachi
Pakistan

gham ki dastaan....
Main Gham Ki Dastaan Apni Sunaon Ga
Is Mehfil Ko Ab Main Rulaoon Ga
Dhai Gai Zulm Jo Mujh Par Ab Tak
Ek Ek Zulm Ka Ehwaal Ab Tumhain Batlaon Ga
Shikayat Hai Mujhay Apnon Say Buhat Sari
Sab Bayaan Kar, Aankhon Ko Ashk Bar Kar Jaon Ga
Mohlat Jo Chand Lamhoon Ki Zindagi Nay Di Hai
Dastaan-E-Gham-E-Mohabbat Kia Us Main Bayan Kar Paaon Ga
Mohabbat Jo Karta Tha Main Ek Bewafa Say
Us Ki Bewafai Ka Aalam Tum Ko Dekhlaon Ga
Khiloona Jaan Kar Khelta Rahi Woh Merey Dil Say
Kia Pata Tha K Ek Din Thokar Laga Diya Jaon Ga
Aah..! Kuch Tu Reham Kia Hota Us Nay Mujh Par
Ab Tu Zindagi Bhar Main Rootay Chala Jaon Ga
Haaye..! Mujhay Kia Pata Tha K Ek Din
Mohabbat K Haathon Khoob Rund Laya Jaon Ga
Kitni Chahat Thi Merey Dil Main Us K Liey
Kabhi Socha Na Tha K Main Khilona Ban Jaon Ga
Mohabbat Ki Thi Us Say Main Nay Apnay Say Bhi Ziada
Kia Pata Tha K Sirf Nafrat K Kabil Reh Jaon Ga
ahhh... Na Jaan Paye Hum Teri Is Adda Ko
Itna Tu Soocha Hota Us Bin Main Kaisey Reh Paon Ga....

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/15/2008 3:26 AM
asher, 19
Karachi
Pakistan

Meray khwaboon kay jharokoon ko sajanay vale
Teray khwaboon main kahin mera guzar hai keh nahin
Pooch kay apni nigahoon say bata day mujhko
Meri raatoon kay muqadar main sehar hai keh nahin
Chaar din ki yeh rafaqat jo rafaqat bhi nahin
Umr bhar kay liyay aazar hui jate hai
Zindagi yoon to hamesha say parayshan si thee
Ab to har saans giran-bar hui jate hai
Meri ujri hui neendoon kay shabistanoon main
Tu kisi khwab kay paykar ki tarha aye hai
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar aye hai!!
Kabhi ikhlaas ki soorat, kabhi harjayee hai
Piyar par bas to nahin hai mera, laikin phir bhi
Tu bata day keh tujhay piyar karoon ya na karoon
Tu nay khud apnay tabassom say jagaya hai jinhain
Un tamannaon ka izhar karoon ya na karoon
Teray altaf-o-karam aik haqeeqat hain magar
Yeh haqeeqat bhi, haqeeqat main fasana hi na ho
Meri manooos nigahoon ka yeh mohtat payam
Dil kay khoon karnay ka aik aur bahana hi na ho
Kaun janay meray amrooz ka farda kiya hai
Qurbtain barh kay pashayman bhi ho jate hain
Dil kay daman say lipte hui rangeen nazrain
Daikhtay daikhtay anjaan bhi ho jati hain
Meri darmanda javani ki tamannaon kay
Muzmayhil khwab ki tabeer bata day mujh ko
Teray damaan main gulistan bhi hain veeranay bhi
Mera hasil meri taqdeer bata day mujh ko

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/7/2008 12:37 PM
confuzon, 25
Hollywood, Florida
United States

HMMMM sir ji acha likh leti hoo aaj kal kio bht hi dila dukha hai tumhara haaa

Reply | Block User
Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/7/2008 12:38 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

kia bataun yaar...dukh dukh kar dil raha hi nahi hai ab to hahahahhaha

Reply | Block User
Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/7/2008 12:56 PM
confuzon, 25
Hollywood, Florida
United States

Pagal ese nahi kehte hai
main agya hoo na abb main itna hasano ga tum phr se jo utho ge

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/7/2008 1:04 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

hahaha kia joke mari hai yaar :P hihihi

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:24 AM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

un ko pyaar kernay ka hisab na aaya .......................
mery kisi bhi baat ka jawab naa aaya.......................
ham to jagtay rahay un kay hi khyaalon main................
or un ko soo ker bhi hamara khawab naa aaya

Reply | Block User
Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:32 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Aankho ke samne hardam aapko hi paya hai,
Dil mein bhi bas aapko hi basaya hai,
Aapke bin hum jiyen kaise,
Apni jaan bina bhi koi jee paya hai?...

Reply | Block User
Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:38 AM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Tamam sheher ko apnay khilaaf ker letay....................
Ham us kay jurm ka bhi aytaraf ker letay...................
woh aik bar to kehta mujhay mohabbat hay...................
Rawayaton say bhi ham inharaf ker letay....................
woh aik bar bhi ham say mila nahin warna...................
ham us kay dil ko bhi us kay khilaaf ker detay

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:44 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Kabhi ziker-e-judai na karna
is dil se kabhi ruswai na karna
ruth jao to bata dena
na bata kar kabhi bewafai na karna.(wah wah wah)

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:48 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

rakhna sambhal kar ye patthar
kal ko woh din bhi aaye gha
jab patthar honghe yeh makaan
inn ki bhi hoghi ik zubaan
ke daastane laila majnu shaqs shaqs dohraaye gha
patthar ka dherr ye aaj
ye kal ka taj mahel kehlaaye gha

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 8:59 AM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Chaha to bht lekin woh milaa hi nahin......................
Laakh koshish ki magar faasla mita hi nahin................
har aik say poocha us kay naa milnay kaa sabab.............
har aik nay kaha ,,woh teray liye bna hi nahin

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 9:03 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Hota Kaise Unhe Gam Hamari Ruswai Ka,
Jab Fark Pada Hi Nahi Unhe Hamari Judai Ka,
Khamoshi Se Saha Hamne Jab Har Gam,
To Ilzam Laga Diya Hum Per Bewafai Ka...

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
3/12/2008 11:32 AM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Har wakt ka hansna tujhay barbaad naa ker day..............
tanhaye kay aalam main kabhi roo bhi liya ker..............

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi h
3/12/2008 11:38 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

hmmmmmmmmmmmmmmmmm lafz hi nahi hai jis sai tareef kar sakun .................... :D bohooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooot acha haiiii :D

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj b
3/12/2008 12:59 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Duniya jise neend kehti hai,
Jaane woh kya cheez hoti hai....
Aankhe to hum bhi band karte hain,
Par woh unse milne ki tarkeeb hoti hai...

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda a
3/12/2008 1:00 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Zindagi hai nadan isliye chup hoon,
Dard hi dard hai subah shaam isliye chup hoon,
Keh du zamane se dastan apni,
Usme ayega naam USKA isliye chup hoon

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zin
3/12/2008 6:23 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Kitni jaldi yeh mulakaat guzar jaaty hay...................
Pyaas bujhty nahin barsaat guzar jaaty hay.................
Apni yadon say kaho, yun naa staya kerain mujh ko..........
Neend aaty nahin or raat guzar jaaty hay...................

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar
3/13/2008 11:48 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Aaj phir aaina humse puchta hai,
ki teri aankhon main nami kyun hai,
jiski dosti mein khud ko bhula diya,
phir uski dosti mein kami kyun hai

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo p
3/13/2008 11:55 AM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Pathar bna diya mujhay ronay nahin diya..................
Daman bhi teray gham say bhigonay nahin diya.............
Tanhaiaan tera ptaa poochty raheen .....................
Shab bhar tery yadon nay mujhay sonay nahin diya........

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 11:58 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

wah ji kia bat hai ap ki asad sahib:)

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 12:02 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm thnx

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 1:35 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Jab say hoa hay woh khawab ki tarah..........
Zindagi Guzar rahi hay Azaab ki tarah..........
Khushboo kay kalam say shayad likhaa thaa khat usnay.......
Har lafaz mehak raha thaa Ghulaab ki tarah...........

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 1:53 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Dil ki basti ko veran na banay rakhna,......
khuch na ho to yadon ko sajya rakhna,.....
mulaqat ka na sahi yadon ka sahi,......
hum sai jaisy bhi ho koi rishta banay rakhna....

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 2:02 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

Ehsaas bht ho gaa jab chor kay jain gay....................
Ro gay bht magar aansoo naa aain gay.......................
jab saath na day koi too hamain pukaar lena................
Kabar main bhi hoye to lot aain gay.......................

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 2:11 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/13/2008 2:12 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

wahh wahhhhhhhhhhhhh . kia baat hay G

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/14/2008 8:18 AM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

;)

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/14/2008 2:14 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

koi khafa ho gya , koi judaa ho gya.....................
yeh chahnay walon ko kia ho gyaa.....................
jis sajday main ,mujh ko usay maangna thaa..............
Afsos wohi sajda mujh say Kaza ho gya..................

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/27/2008 8:35 PM
Salman, 23Verified Zorpian
Islamabad
Pakistan

Raat gumsum hai magar chand khamosh nahin,
Kaise keh du aaj phir hosh nahin..
Aisa doobe teri aankhon ki gehraayi mein,
Haath mein jaam hai magar peene ka hosh nahin .............

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/27/2008 8:42 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

ohoooooooooooo ap nai to asad ko bi par kar dia :P

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/27/2008 8:58 PM
Salman, 23Verified Zorpian
Islamabad
Pakistan

thx thx thx
wesy asad ki poetry mjsy achi hogi qk main to bs jo b achi lagy copy paste kar leta hun hehehehe
asad ko shyd ati ho

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re:
3/27/2008 9:48 PM
Asad, 20
Lahore
Pakistan

main sar kay bal gira thaa gunahon kay bojh say
dunya samajh rahi thy keh sajday main para hay
sajday main jab gyaa to logon nay yeh kaha
zaalim nay itny pee hay keh madhosh para hay

Reply | Block User
Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/13/2008 8:58 PM
Smoking kill, 18Verified Zorpian
Islamabad
Pakistan

Khubiya utni to nahi hai hum mein,
Ke kisi ke dil main ghar bana payenge,
Per bhoolna bhi aasaan na hoga,
Aisa zaroor kuch kar jayenge.





ankhien

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/14/2008 1:27 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

hm janab humai bi to batain kia karain gai ap?hahahahah heyyyy ALLLAH jiiii ab iss ko kon parai?? hahahahhahaahha aniway nice sher :D

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/14/2008 6:00 PM
Smoking kill, 18Verified Zorpian
Islamabad
Pakistan

ae saaqi jee barh ke aaj peene de - zindgi ka ye aakhiri jaam hai
aaj ki shaam sadiyon ki tara jeene de - zindgi ki ye aakhiri shaam hai
jab bichare the hum to kaha tha us ne muje bewafa - zindgi ka ye aakhiri ilzaam hai
aansson na pohoncho mere muje bahano do inne - zindgi ka ye aakhiri kaam hai
mohobat karna magar us me saudebaazi na karna - mera - zindgi ka ye aakhiri peghaam hai
alwida dosto sab ko salaam ho qabool mera - zindgi ka ye aakhiri salaam hai
_________________
dost usse kahte hain jo gham aur dukh me saath de
zindagi ke safar me kabhi tum gir jaao to apna haath de

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/15/2008 9:51 AM
waqas, 23
Gujrat
Pakistan

wasay italian kay sath urdu ke be classes lia kero hehehe

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/15/2008 1:23 PM
jaweria, 19
Islamabad
Pakistan

hmm :( kon dai urdu ki class? hmm 1 friend hai voh sikhati hai mujai urdu or baki larkion ko bi koshish to kar rahi hun jaldi sikh lun...

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/15/2008 2:36 PM
waqas, 23
Gujrat
Pakistan

very gud jab ..wasay tum mujay italain sekha do main tum ko urdu sekha deta houn hehe bolo munzoor hai...

Reply | Block User
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/16/2008 5:13 PM
Smoking kill, 18Verified Zorpian
Islamabad
Pakistan

Love is life
Life is Death
Life is cruel
Love is dead
I wished...
Love destroys
Love is bad
Love can lie
Love isn't sad
Except every other day of life
Love is pain
Love is war
Love consumes
Love is a wh**e
And you don't have to pay
Love is Terror
Love is Osama Bin Laden
Love is Communism
Love is George W. Bush
And Obama and the rest
Love is Liebe
Love is Suicide
Love sucks
Love is fight
For Hate, Destruction, Death and Love

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/16/2008 8:04 PM
imran, 20
Rawalpindi
Pakistan



Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!
Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!
Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!
Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !
Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye!
Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !
Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !
In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!
Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!
Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay !

Reply | Block User
Re: wo pyaar zinda aaj bhi ha
5/16/2008 8:08 PM
imran, 20
Rawalpindi
Pakistan


Saanse zarurat hoti hai,
ye tham bhi jaye to itna dard na hoga,
jitna ki aapke ruthne ya chale jane ke baad hoga..
kyunki.. hamari saanse to aapki rooh se bandhi hai..

Apni hi tanhaiyon se bhagta phir raha hoon aajkal,
aapne dil mein re