1
  • Forum > Poetry [Competition]
  • Display Mode:
<<Previous 1 2 Next >> Show all

5/21/2008 7:49 PM Poetry [Competition] (35 Comments)

Sanagee

Poetry [Competition]

Bichray hoye logon pay Taras khao kisi Din ..
naa asa ho jaye kay naa yaad aao kisi din...
Sawan kay bina jesay ho jaati hay baarish..
asay hi meray paas chalay aao kisi Din...

7/7/2008 7:12 AMRe: Poetry [Competition]

roopeshmandloi
Roopesh 30, Indore, India
इस भीड़ भरी दुनिया में आवारा सा,
अकेला राही आवाजों के पीछे चलता ।

“बेटा” - कहकर पुकारा किसी ने
लगता था - दादी माँ पुकार उठी ।

“सोना” - कहकर पुकारा किसी ने
लगता था - बचपन की सखा थी ।

“अजी सुनते है” - पुकारा किसी ने ।
याद आ गयी अपनी घरवाली ।

“ऐसे चला करो” - समझाया किसी ने,
लगता था - गुरूजी यहीं कहीं पर हैं ।

अनजानी दुनिया मे अकेले पथिक की,
अनजानी आवाजें फिर पहचानी सी थी ।

5/21/2008 9:51 PMRe: Poetry [Competition]

umairulhassan
UMAIR 21, Lahore, Pakistan
Bohat udaas hay koi teray jaanay say
ho sakay to lot aa kisi bahanay say
laakh khafa sahi magar ik bar to daikh
koi toot gya hay tere rooth janay say

5/21/2008 9:51 PMRe: Poetry [Competition]

sweetfatimaa
Neha 23, Lahore, Pakistan
Kabhi is tarah meray Ham Nafs ..
sabhi chahtain meray naam ker..
agar ho sakay to kabhi kahin ..
koi shaam bhi meray naam ker..
meray dil kay saaye main aa zara..
mery dharkanon main Kayaam ker..
yeh jo meray Lafzon kay phool hain ..
tere raastay ki yeh dhool hain ..
kabhi in say sun mery daastaan..
kabhi in kay saath kalam ker..
kabhi pooch in say mera Haal e dil..
jo ho sakay to meray Ham nawa..
mujhay thaam lay bayaban main ..
yeh zindagi meray naam ker..

5/22/2008 9:47 AMFuNnY PoEtRy

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Tumse mila main kal to,
mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho:
Your file not found!
Aisa bhi nahin hai ke,
I don't like your face
Par dil ke computer mein,
nahin hai enough disk space
Ghar se nikalti ho tum jab,
pehen ke evening gown
Too many requests se,
ho jaata hai server down
Tumhaare liye pyaar ki application,
create main karoonga
Tum usse debug karna,
wait main karoonga
Tumhaara intezaar karte karte,
main so gaya
Yeh dekho mera connection,
time out ho gaya

5/22/2008 12:10 PMRe: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
samne aate hi nazar jhukate hai woh!
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh!!

5/27/2008 2:22 PMRe: Re: Poetry [Competition]

soniarzi
soni 18, Rawalpindi, Pakistan
Kuch Kuch Hota Hai,
Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
Ab to mera sir, jaage na sota hai,
Kya karoon haye, kuch kuch hota hai....

5/27/2008 6:59 PMRe: Re: Re: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao
Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain
Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho
Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar
Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga
Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai
Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file

5/22/2008 12:34 PMRe: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Barish aur main,
dono ek jaisay hain, rote hain,
tadapte hain,
sisakte hain, machalte hain,
bond bond dard ka!
khamoshi se apni ragoon main utar lete hain,
aur phr muskura kar chupke se..
chup ki chaddar odh lete hain..
haan sahyad,
BARISH aur MAIN dono ek hi jaisay hain!

5/22/2008 4:49 PMRe: Poetry [Competition]

AsdShah
Asad 21, Lahore, Pakistan
aata hai khyaloon main to soney nahi deta
ik shakhas jo banhoon ke bichouney nahi deta
khud to us ke murasim hain zamaney se lakin
hum ko woh kisi aur ka hone nahi deta

5/27/2008 2:07 PMRe: Re: Poetry [Competition]

soniarzi
soni 18, Rawalpindi, Pakistan
Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
dono mein farakh sirf itna hai,
lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai.

5/27/2008 2:14 PMRe: Re: Re: Poetry [Competition]

soniarzi
soni 18, Rawalpindi, Pakistan
Shaadi ke pehle - Maine Pyar Kiya
Shaadi ke baad - Ye Maine Kya Kiya?
Shaadi ke pehle - Kuch Kuch Hota Hai
Shaadi ke baad - Kuch Nahi Hota Ha
Shaadi ke pehle - Dil To Pagal Hai
Shaadi ke baad - Dil To Pagal Tha
Shaadi ke pehle - Ek Duje Ke Liye
Shaadi ke baad - Sirf Bachcho Ke Liye
Shaadi ke pehle - Dilwale Dulhaniya Le Jayenge
Shaadi ke baad - Baaki Log Sukhi Ho Jayenge
Shaadi ke pehle - Chandramukhi
Shaadi ke baad - Jwaalamukhi
Shaadi ke pehle - Kuwara Baap
Shaadi ke baad - Bechara Baap
Shaadi ke pehle - Titanic
Shaadi ke baad - Mortgage
Shaadi ke pehle - Hum Aapke Hai Koun?
Shaadi ke baad - Barbadi Ka Reason
Shaadi ke pehle - Aao Pyar Karen
Shaadi ke baad - Aur Bhi Kuch Kaam Karen?
Shaadi ke pehle - chal chayya chayya
Shaadi ke baad - ah aab laut chale
Shaadi ke pehle - hum aapke dil main rehte hain
Shaadi ke baad - hum apke ghar main rehte hain
Shaadi ke pehle - arzoo
Shaadi ke baad - asoo
Shaadi ke pehle - soldier
Shaadi ke baad - major sahib
Shaadi ke pehle - pyaar hona hi tha
Shaadi ke baad - meri saath esa kyu hua
Shaadi ke pehle - jeevan saathi
Shaadi ke baad - bachcho ke baad, bangaye hathi
Shaadi ke pehle - deewana
Shaadi ke baad - anjaam
Shaadi ke pehle - laila majnoo
Shaadi ke baad - dono majnoon
Shaadi ke pehle - taj mahal
Shaadi ke baad - sadak
Shaadi ke pehle - tammana
Shaadi ke baad - tamasha

5/27/2008 2:16 PMRe: Re: Re: Poetry [Competition]

soniarzi
soni 18, Rawalpindi, Pakistan
Gungat Mein Tujhe Dekha To Dewanna Hua,
Sangeet Ka Taraana Hua,
Shamaa Ka Parwana Hua,
Masti Kamastaana Hua,
Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua

5/23/2008 10:53 AMRe: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye

5/23/2008 9:29 PMRe: Poetry [Competition]

sweetfatimaa
Neha 23, Lahore, Pakistan
apni zaat kay mehver main tujhay Zam ker loon ..
Ibadaton main tera Ishq bhi rakam ker loon ..
teray Ishq say ho agar WUZOO Mumkin....
main teray jism ki Matti say TAYAMMUM ker loon..

6/4/2008 7:58 AMRe: Re: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Hum aapke dil mein rahate hai
Aur bhaada bhi nahin dete hai
 
Na mitti ki kami thi na kam lagayi gayi
Na mitti ki kami thi na kam lagayi gayi
Jo bhi bach gayi thi, woh upar lagayi gayi
 
khud ko kar buland itna ki zamaana ho deewana
khud ko kar buland itna ki zamaana ho deewana
neend se utha to paaya kutton ka dawaakhaana
 
Maine tujhe pyar kiya abla samajh kar
Tere baap ne mujhe baja dala Tabla samajh kar
 
Chand par kaali ghata chaati to hogi,
Sitaron mein Chamak aati to hogi.
Tum lakh chupao Duniya se, magar akeley mein
tumhe apni shakal pe hansi aati to Hogi

5/23/2008 9:40 PMRe: Poetry [Competition]

sssfaisal
Shah 24, Lahore, Pakistan
woh jinhain choo naa sakti thy Farishton ki nazar
aaj wh Ronak e Bazar nazar aatay hain
kon day gaa Mehsher main gawahi tery saghar
sab unhi kay Tarafdaar Nazar aatay hain

6/4/2008 7:59 AMRe: Re: Poetry [Competition]

heartcracker1
Ali 18, Lahore, Pakistan
Kal jab mile thhe….
to dil mein hua ek sound.
Aur aaj mile to kehte hain…
your file not found! *
 
Jo muddat se hota aaya hai,
woh repeat kar doonga…
Tu naa mili to apni zindagi
ctrl+alt+delete kar doonga…
 
Shayad mere friendship ko
taste karna bhool gaye…
Dil sey aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaye…
 
Laakhon honge nigaah mein
kabhi mujhe bhi pick karo…
Mere friendship ke icon pe
kabhi to double-click karo…
 
Roz subha hum karte hain
py! ar se thumne good morning…
aur aise ghoor ke dekti ho
jaise 0 errors aur 5 warning…
 
Aisa bhi nahin hai ke
 
Ghar se jab tum nikale
pehen ke reshmi gown.
Jaane kitne dilon ka
ho gaya Server down
 
<<Previous 1 2 Next >> Show all
Post Your Comment
Subject:
Comment :